MYSTERY OF PHOTOGRAPHER PART-2
TASWEER
PART 2
Bhabin aur Hetal chhutiya manane gaye the daman jahan par ek
photographer unka pichha kar raha tha aur pal pal ki tasweer khich kar unhe
bhej raha tha. Unhe sak tha usi photographer par jo unko beach par mila tha. Isiliye
use doobara dhundne ke liye unhone dopeher me usi wakt beach par gaye aur usi
jagah pahanche . ye beach thik kal ki tarah bilkul sunsan tha. Thodi der
intezar karne ke baad bhabin ko wohi photographer dur se unki taraf doudta hua
ata najar aya. Usne paas akar bola. Are sir bina bole hotel chhod kar kaha
chale gaye the. Lijiye apka saari photo graphs. iss memory card mein he saari photographs. Bhabin
ne uske ek baat nahi suni aur sidhhe police ko phone laga diya aur wo bhag na
pae isiliye bhabin usse chhod hi nahi raha tha aur jorse pakad kar rakha tha. Man
hi man me bhabin ko itna sukoon tha ki ab wo itna paresaan nahi hoga. Aur usse
ye bhi pata chalega akhir ye sab kyun kar raha tha aise. Thodi der mein police
ayi aur usse giraftar kar ke le gayi. Jate jate bhabin ko bole aap hotel jayiye
hum puchh tach kar ke apko batate hai. Bhabin jaise hi hotel pahuncha reception
par ek memory card uska intezaar kar raha tha.
Camera man ko to police ne pakad liya to phir ye memory card
koun de gaya hoga , kai sare sawal umad rahe thee bhabin ke dimag mein. Usne turant
wo memory card liya aur turant doudte hue apne kamre mein gaya , lapto mein
memory card lagaya, to AC ki thand mein bhi bhabin ko ghutan si mehesus hone
laga. Memory card mein do folder the , ek today aur ek extra ke naam mein. Today
mein wo tasweer thi jaha bhabin hotel se nikal kar beach tak gaya ,
photographer ko pakda , police use pakad kar le gaayi aur wo lock up pe tha. Iska
matlab saaf tha ki ye photos to ye photographer ne nahi khichi thi. Iss memory
card ke extra folder ko jab bhabin ne khola to usme jo tasweer thi usme bhabin
aur hetal dono jhagad rahe the, ek tasweer mein hetal ka badan neela pad gaya
tha aur wo jaminn par padi thi. Aur ek akhir tasweer me bhabin akele gadi drive
karte kahi jaa raha tha.
Bhabin iin tasweer ke bare mein soch raha tha ki tabhi hetal ne uske haath mein kuchh aise tasweer rakhe jisme wo apni girl friend ke sath mein tha. Bhabin ka sach uske saamne tha. Aur ab usne bolna suru kiya , “achha hua tumhe pata chal gaya kyun ki yahan mein tumhe isiliye hi laya tha ki tumhe sara sach bata saku . mein ab aur tumhare sath nahi reh sakta, ab mujhe tumse divorce chahiye.” Bhabin ke muh se sachayi sun hetal tut gayi aur rote rote bhabin ke ankhon ke saamne bathroom mein chaligayi aur khud ko band kar diya . bhabin darwaja khatkhatate khatkhatate paresaan ho gaya. Par hetal ne darwaja nahi khola. Andar se bas rone rone aur rone ki awaj hi a raha tha. Tang aakar bhabin chilaya, “ maro yahin pe . jaa raha hu main dekhta hu kese ayogi seher akele. Kamre ka darwaja jor se band karte hue bhabin apna saman le kar akele hi nikal pada . adhhe raste jaane ke baad use yaad aya ki ek tasweer to aisi bhi thi jaha wo issi tarah akele gadi chalate hue laut raha tha. Tasweer ke baare mein sochta wo kab ghar par pahuncha usse pata hi nahi chala.
Ghar pauhuncha to
saamne bahat bheed lagi thi bheed mein na sirf padosi the balki police bhi thi.
Bhabin bhagta doudta andar gaya to pata chala ki bhabin ke biwi ne suicide kar
li thi aur dead body ghar ke bath room mein mili. Biwi ki suicide ki khabar
bhabin ke liye bahat bada jhatka tha lekin
ek sawaal jo ussse man hi man khae jaa raha tha wo ye ki uski biwi ussse pehle
yahan kesi pauhunchi ? bhabin shock ki wajah se chup tha aur kuch bol nahi paa
raha tha. Police ne hetal ka suicide note padhna suru kiya jisme ussne likha
tha , “mujhe mere pati ke affair ke bare mein pata hai. Wo mujhe daman isiliye
le jana chahte ki wahan hone wale hungame ke baare mein kisiko pata na chale aur wo mujhe
divorce ke liye mana bhi sake. Mein unhe divorce nahi de sakti iss liye apni
zindegi khatam kar arahi hun. Wo bhi khus aur mein bhi.” Suicide note ki akhir
line thi, “Bhabinn ab mein sirf tasweeron mein hi tumhe dikhayi dungi” .
Post mortem report mein ye pata chala ki hetal ki mout
sukrawaar ko hi ho chuki thi. Agar ye sach he to sukrawaar ke din subha 9 baje
bhabin ke saath nikal kar do din uske saath koun tha……
Mein hu soumya aur aap padh rahe ho short stories and
amazing facts
Follow on ::
Twitter::https://twitter.com/sportsashu?s=08
Telegram::https://t.me/sprotsashu
Next story::mark Zuckerberg untold story (co-founder of Facebook)
WRITTEN BY
SOUMYA
PUBLISHED BY
ASHUTOSH
🤩
ReplyDeleteMast
ReplyDeleteBest suspension story 👌👌👌👌👌👌. continue bro
ReplyDeleteI have really interested about story of mark Zuckerberg
ReplyDelete🙏👌
ReplyDelete👍👍
ReplyDeleteBhai best story.bhai apa YouTube channel start karo bhai.
ReplyDeleteI am really interested for next blog.Facebook CEO
ReplyDeleteReally best story
ReplyDeleteBest suspence horror story bro. Plz continue bro. Plz published on article about a comedy story 💯💯
ReplyDelete