mystery of world

Hindi horror story

 

Parihaar gaon ka dhaba

             Ujyal Rajastan ki ek gaon ki talash mein nikla tha kyun ki use sapne me woh gaon dikhta tha. Raste mein use bus mein aisa laga jese uska gala koi daba rahatha aur conductor ki wajah se woh bacha. Fir jab khidki kholke baitha to khidki ke taraf ujyala ke daen kano me koi khusfusa kar koi use bula rahatha. “Ujya..al ujya..l” . Ujyal ne chupchap khidki band kardiya. Ujyala sukoon se baitha hua tha tabhi break lagne se uski ankhe khuli to usne dekha ki bus ek dhabe ke samne ruka hua tha. Ujyal filhal itne der tak jo jo hua use bhulne ki kosis me laga tha . chup chap baitha hua ujyal jyada der sukun se baith nahi paya kyu ki bus me jal rahi sare light bari bari band hoti aur fir jalti band hoti aur fir jalti. Ujyal ankhe fad fad ke sasoon ko rok kar ye sab kuch dekh raha tha aur jab bus ki seat ke niche se kisine uska per pakad kar jor se khicha “ aaaaaa….aaaaa…aaaa..”

          To ujyala us do seat ki bich usi chhoti jagah me idhar udhar kudta firta gira aur use dheere dhere seat ke niche koi ghasit ta jaaa raha tha. Ujyal ke laakh kosis ke bawojud woh kuch nahi kar pa rah tha. Ujyal apne chair ke niche wali lohe ke rod pakadke khiche jaane se bach raha tha aur jor jor se chikhh raha tha lekin madad ke liye koi ata bhi to koun. puri bus khali padi thi Ujyal bas ummed khone hi wala tha jab achanak wohi bus ka conductor uski chikhhen sun kar doudta hua aya aur turant hi Ujyal ko hathon me pakad kar kisi tarah khich kar niche se nikalne me lag gaya ujyal aur us conductor ki kosiso me ujyal ko us seat ke niche ghasite jaane se bacha liya. wo log hafte  hue wohi baithe hi the ki conductor ne kha are “ap bhi babuji kaise gir gaye the, kya jo niche ghuse aur rod ke bich me fas gaye abhi yahan baithe rahenge akele me to tension hume lage rahenge chalie niche chiliye dhabe pe bethie niche pe” aur ujyal ne bhi yahi behtar samjha chup chap uske sath niche dhabe pe chala gaya. wahan bethe bethe jab driver aur conductor khana kha rahe the to wahan ek waiter aya jise ujyal dekhta hi reh gaya us waiter ka ek hath nahi tha ujyal use jate hue dekh hi raha tha ki tabhi conductor ne kaha “kehte he sahib ki ise na ajib ajib darawane sapne ate the, bahar kahin seher se aya tha yahan, aur ek din sapna dekhte hue nind me hi gane ka ras nikalne wali machine me hi apna hath dal diye usne, aur hadiyon ka chura bangaya tha babuji ,uske bad hath katna pada, tabse yahi kam karta he ye ladka,


                 Ujyal kuch der ko soch me padgaya aur fira socha ki ek baar ghar mein phone karke wahan ka halchal janle phone milaya to udhar se awaj ayi “ap jis no. par sampark karna chahte he woh is wakt byast he kripaya paresan na ho aur thodi der mein app parihaar gaon pahanch jayenge”. Dhabe se kha piker jab driver aur conductor uthe to conductor ki siti aur bus ka horn sunkar dhabe par jitne log bethe the wo jese neend me chalet hue deeme dheeme ek sath kadam phekte hue bus ke andar akar beth gaye bus chali ujyala ghabrata hua idhar udhar dekhta hua kuch der tak betha raha aur uske baad pata nahi thhandi hawa se kab uske ankh lag gaye. uski ankh khuli to ek awaj se ki “ram nam satya he hari naam satya he………”dheere dheere awaj tej hoti chali gayi. Ujyal ne ankhe khol kar apne ird gird charo aur dekha bus me bethi sari log badi badi ankhe khole usiki aur dekhte hue bas bole hi jaa rahe the “ra..am ..na..am .. satyaa.. hee…ee” ujyal ne bina kuch soche samjhe driver ki seat par chhalang mari aur gadi rokne ki kosis karne laga driver ke sath thodi hatha phai hui aur bus ek ret ki tile me jake fas gayi. ujyala turant driving seat wali darwaje par ek lat mari aur usi darwaje se kudkar bhagna sur kiya aur usne pichhe dekha ki driver aur conductor uske pichhe bhagte hue aa rahe the ujyal puri jaan laga kar bhag raha tha tabhi usne pichhe muda hi tha ki tabhi kisine use samne se dhaka diya aur woh ret me muh ke bal gira. ret muh se jhadke turant utha hi tha ki usne dekha uske thik samne eke board laga tha jo usne apne sapne me dekha tha aur board par us gaon ka naam likha tha parihaar. us board ke thik paas ujyal ko ek admi dikhayi diya jo use apne sapne me dikha tha  us admi ne jhuk kar us admi ne kaha “kuch bhi ho dhaka nahi marna chahiye tha mere bête ko. mera beta aur pota tune maar diye. roj mara beta sapne me ake kehete he badla nahi loge babuji mera. aj jabab dunga use.”


                Ujyal ko yaad aya ki takriwan 3-4 mahine pehle ujyala jab traffic ke samne khada tha to ek admi ek bachhi ko god me liye rota rota uske paas aya aur paisa mangne laga uske bachhe ke ilaj ke liye. paisa mangne wale roj milte he wahan par koun sacha aur koun jhuta jan na muskil hota he lekin us admi ko sach much jarurat thi Bache ki ilaj ke liye. parihaar jese chhote gaon me rehne bale dhabe ke majdur ke liye ye muskil tha itna paisa ikatha karna isiliye itne dur se aya tha yahan seher me kuch paisa ikatha karne. us ami ne rote hue ujyal ka hath pakad kar rone laga aur paisa mangne laga to ujyal ne guse me aakar uka hath chhatak ke use dhaka de diya aur age nikal gaya, par ujyal ye dekh nahi paya ki uske dhake dene ke baad woh admi niche gir gaya aur piche aa rah ek gaadi ne use kuchal kar chali gayi aur ajj dikhraha ye budha admi us admi ka baap tha aur dhabe pe dikha wo waiter wo admi tha ye jaan kar ujyal ke pero tale jameen khisak gayi.


               Ajj wahin dhabe me log aksar ate he khana khane waha ek waiter jiske hat kate hue he, wo sabko dikhta he. use puchhne par woh apna naa ujyal batata he.

18 comments: