H2O NAGARIYA
H2O NAGARIYA
Part 3
click here for part-2👌👌Then ::-
“Gupta ji manobaigyanik pariksa mein to aap fail ho gaye hai, pani ke bhut baato se na mante hai”, dr. jalasaya ne kaha. Do nae bade bade pani ke akritiya ayi aur guptaji ke saar mein kai rango ke pani se bana ek yantra bandh diya. “ye yantra batayega aap pe ilaaz ka asar ho raha hai ya nahi”, paani ke akriti wala insan ne kaha. “Aiye bhai guptaji pehle paani ke drab rup se suru karte hai”, dr. jalasaya ye kehte hue guptaji ko paani ke ek surang mein le gaye. Gupta ji bhagna chate the lekin wo bichare ek agyan kari sisya ki tarah bas agyan ka palan kar rahe the. Dr guptaji ne turant guptaji ko paani ka ek bade se kund mein daal diya aur upar se unko kas ke pakad liya. “bataa sardi mein bhi har din nahayega ya naa….”. bichare guptaji paani ke andar bade bade bulbule chhod rahe the. Unki saanse ful rahi thi. Unka dum ghut raha tha. Wo haath paon marne lage. Jab haath paon tej hone lage to dr. jalasaya ne unko bahar nikal liya. “ dimaag kharap hai aapka , mein mar jata to…”, guptaji ne krodh mein kaha. ‘ kabhi socha tune ki naa nahane se tere durgandh mein koi aaspaas wala mar sakta hai, kaisa laga mrutyu ko aaj itna paas dekhke hi….. he…he… .”, dr jalasaya kisis danav ki tarah dant nikur kar hasne lage.
Guptaji kuch kehte usse pehle hi unko colar se
utha ke jalasaya ne age le aye, “ sathiyo suru ho jao”. Dr. jalasaya ke baat
sunkar achanak charo taraf se khub saari paani ki akritya aagayi aur aur
gupatji ke saath holi khelni suru kardi. Koi kahin se paani feke to aur koi
kahin se. koi garam paani feke, koi thanda paani, koi samandar ka pani to koi
bhenso ka nahane ka talab wala pani. Guptaji ke chere pe tarah tarah ke paani
aise pad raha tha jaise nalayak bachhe ke chehre pe masterji ke thappad. “mein
haar gaya mein roj nahaunga , chhod do dr. jalasaya. Please …..”. ‘ tum jhut keh rahe ho guptaji
. aisa hota to tumhare mathe pe bana ye yantra humko bata deta.”, dr. jalasaya
ne kaha. ‘ are itna paani girne ke baad apka yantra kharap to ho sakta hai.”,
guptaji ne duhai di. Lekin dr. jalasaya aaj sun ne ke mood mein nahi the. Paani
ke tej dhar se gupta ji ke kapde kai jagaho se fat chuke the. “ drab to ho gaya
, aiye guptaji ab apko paani ka thos rup se dikhate hai.” Badhawas guptaji ko do akritiya uthaya
aur surang ke dusre kone mein le gaye. “ ise barf ke bistar par leta do bhai”,
dr jalasaya ne ades diya. Samanya bisar jesa dikhne wala bistar ek khas kism ki
baraf se bana tha jo h20 nagariya mein bhi thandi rehti thi. “Kaisa lag raha
hai bhai iss barf ke bed pe letke gupatji he… he... he….”,ddr jalasaya ne
dubara danav wali hansi ke saath puchha . “thandi khir jesa lag raha hai”,
kunthit ho chuke guptaji ne jor se chillaye.
“ are aap logo ko paani ki kasam please chhod do. Mein ros
sardi mein bhi thande paani mein nahaunga, subhe saam nahaunga, din bhar nahata
rahunga. Are naukri chhodke kisi nadi ke kinare chala jaunga..”. guptaji ka
prarthana ka koi asar nahi hone wala tha kyun ki wo yantra yahi bata raha tha
ki gupta ji jhut keh rahe hai, aur dharti par jaate hi firse wese hi pehle ki
tarah ho jayenge. Dr. jalasaya ne jaldi se guptaji ke muh pe arab sagar ke
paani se bana ek mask lagadiya aur north pole ki uchh koti ki baraf se bana ek
kaks mein fek diya gaya unko. Kamre mein charo taraf kafi dhuan tha. Gupta ji
man hi man khus ho rahe the, ki isse jyada dhuan to unki patni khana banate hue
pure ghar mein kar deti hai, isiliye ye to wo seh lenge. Lekin guptaji ka ye
bhram agle pal hi tut gaya. Achanak dhuan itna badh gaya ki arab sagar ke paani
se bana wo mask bhi pighalne laga. Baraf ki kaks mein bhap badhti jaa rahi thi.
Guptaji ka sarir garm ho gaya tha. Wo kuch bhi nahi keh paa rahe the. Wo behos
ho gaye the aur behosi mwin wo hua jiski guptaji ko hos mein bhi ummed nahi
thi. Guptaji ka uss yantra ka indicator jal chuka tha. “isse wapas dharti pe chhodne
ka time aa gaya hai bhai”, dr jalasaya ne kaha.
Agli suba mrs guptaji jab bathroom gayi to dekha guptaji
balti ke paas murchhit se bethe hai. Unhone guptaji ke muh pe paani mara.
Guptaji uthe aur sidha apne kamre pe chale gaye. Unhe kuchh yaad nahi tha ki
unke saath hua kya tha. Sila didi ne guptaji ki patni ko h20nagariya wali baat
ka jikar tak karne se mana kiya tha. Office mein kaha gaya tha ki guptaji
bimaar hai aur guptaji ko yahi yaad tha ki wo bimaar hai. Uss din guptaji
nahake office gaye. H20 nagariya ka ilaj kaam kar raha tha, leki n sayad ilaj
ki over dose ho gayi thi. Guptaji office pahanch kar firse nahaye, luch ke
pehle nahaye aur lunch ke baad bhi nahaye, saam ko office se chhutne se pehle
fir nahaye . office pe ye baat prachalit ho gayi ki agar gupta ji seat pe nahi
hai to wo bathroom mein naha rahe honge. Baat ghar tak pahunchi to mrs. Guptaji
paresaan ho gayi, kyun ki sardi mein itna nahane se bimaar ho sakte the. Par
guptaji to itne thande mein bhi thande paani se nahaye jaa rahe the. Unhone
gupta ji se baat ki to guptaji ne internet se download kiye hue sardi mein
nhane ke fayde ke char panne apne patni ko suna daale. Mrs guptaji ne sila didi
se puchha ki kya koi aisi nagri bhi hai jahan se inka nahana kam ho sakta hai.
Sila didi ne iss baat ka jawab na mein diya. Aaj bhi guptaji din mein kai kai
baar thande pani se nahake apna purana bakeya chuka rahe hai. Kahani samapt
karne se pehle mein ye kehna chahunga ki sardiyo ka bahana deke yadi aap bhi
ros nahane se katrate hai to nahaya kijiye warna apki patni , pati , premi,
premika, ya koi subh chintak aapko bhi h20
nagariya bhej sakta hai. Baas.. itni si thi ye kahani
( Plz must be comments for next new article👌👌🙌
👍
ReplyDeleteThanks bro
DeleteMst bro 👌🙆
ReplyDeleteThanks bro
DeleteNice. .
ReplyDeleteThanks for comments
DeleteOssum
ReplyDeleteThanks re
DeleteThis story is really nice and comedy story.best story
ReplyDeleteNice 👌
ReplyDeleteSuperb..
ReplyDelete