H2O NAGARIYA
H2O NAGARIYA
Part 2
Mrs gupta herani se sila didi ko dekh rahi thi. “did aap
majak kar rahi hai naa , aisa bhi bhala hota hai kya, aapko kaise pata chala”,
mrs gupta ne puchha. “ dekho yakin karna na karna tumhari ichha aur mujhko kaha
se pata chala mein timhe nahi bata sakti aur tumhe bhi ye nahi batana ki tumhe
ye kaha se pata chala. Agar tumko unn kogo ko bulana hai to hath mein pani leke
teen baar ye mantra padhna, ‘oo h2o nagaria ke nagriko mere pati ko dho dalo,
oo h2o nagaria ke nagriko mere pati ko dho dalo, oo h2o nagaria ke nagriko mere pati ko dho
dalo’ uske baad pani ka ek chhita pati pe gira dena. H2o nagaria walw ayenge
aur do din ke liye tumhare pati ko lejayenge.” Mrs gupta gehre soch mein dub
gayi thi. Kuchh der baad unhone kaha, “ wapas to kar jayenge na inko?”. “ haan
haan bilkul ,wapas karjayenge , unko kya karna hai tumhari pati ka.” Pati ke
naa nahane se paresaan mrs gupta ne te prayog bhi ajmane ki sochi.
Raat ka bhojan karke guptaji jab tv dekh rahe theto mrs
guptta ek puja ki thali layi aur achanak se gupta ji ke mathe pe tilak laga
diya. “ are ye kya kar rahi ho, raat ki nau baje koun si puja hoti hai.” ,
gupta ji ne herani se puchha. Mrs gupta ne koi jawab nahi diya. Unhone hath
mein kuchh bund pani liye aur uchharan karne lagi, “oo h2o nagaria ke nagriko
mere pati ko dho dalo, oo h2o nagaria ke nagriko mere pati ko dho dalo, oo h2o nagaria ke nagriko mere pati ko dho
dalo”. Iske baad pani ka ek chhita guptaji ke muh pe de mara. Kai dino se naa
nahaye gupta ji ko ye bunde saagar si lagi. “ are ye kya kar rahi ho ?”,
guptaji ne hadbadi mein kaha. “shant ho jayiye guptaji”, gguptaji ke pichhe
khadi koi 8 foot lambi pani se bani ek manab rupi akruti ne kaha. Pehli baar
kuch aisa dekh kar dono dar gaye. Kamre ke charo aur pani bulbule se bani
akrutiya ghum rahe the. Sabhine guptaji ko gher liya tha. “mujhe maaf kar
dijiyega”, gupta ji ke patni ne najar jhukaye gupta ji se kaha. Paani ke wo
sarir guptaji ke aur paas aa gaye aur agle hi pal gupta ji ko apne saath baha
le gaye. “Inka khayal rakhiyega.” , gupta ji ke patni ne chillate hue unn jati
hui akrutiyo se kaha. Guptaji kuchh samajh hi nahi aa raha tha, wo kaha kis
raste se jaa rahe hai. Wo chhutne ke liye haath paon marne lage, chhilane lage,
rone lage , bichh mein to ye bbhi keh diya ki ,“chhod do warna police mein
tumhari complain kardunga”. Lekin gupta ji ke rone chilane aur dhamki ka koi
asar nahi hua. Paani ki yo akrutiya kisis jhil ke saant paani ki tarah ek dam
saant thi. Guptaji badhawas ussi bahaw mein beh jaa rahe the. Udhar guptaji ke
patnine bhi guptaji ke liye puja arambh kar di thi. Thodi der baad wo akrutiya
ruk gayi.guptaji ghabra gaye. Tabhi ek bhari bharkam awaj ne guptaji ka dhyan
khicha , “guptaji , swagat hai aapka h20 nagariya mein”.
Gupta ji apne sapno mein , apne kalpanao ki kalpana mein bhi aisa drusya nahi dekha tha. Charo taraf ek hi akaar ke pani se bane sarir ghum rahe the. Pani ke jo log gupta ji ko bahake laye the. Wo bhi achanak gayab ho chuke the. Dharti barf se dhaki hui thi. Lekin gupta ji ko jara bhi dar nahi lag rahi thi. “ kaise he guptaji , raaste mein koi taklif to nahi hui” , ye kehte hue paani ek akruti unki aur badhi aur unkr gale mein baraf se bani ek malaa dal di. Ye kya hai ? aur mein yaha kyun?” heran guptaji ne puchha. “ye h20 nagariya hai guptaji, hum yaha aapki dhulai karenge.” . “dhulai!!!”, guptaji dargaye. “ ghabraiye mat gupataji, wo mar pitai wala dhulai nahi, nahane dhone wale dhulai.” . “ par kyun ?”, gupta ji ne puchha. Uss akruti ne guptaji ki yahan pahanch ne ki saari kahani sunai aur saath ye bhi samjha diya do din se pehele yahan se bhaga nahi jaa sakta. Inse miliye gupta ji, ye hai hamare mukhya doctor, doctor jalasaya. Yahi aapka ilaj karenge. Ye keh kar wo akruti waha se chali gayi. Iske baad gupta ji ko bade se kamre mein le jaya gaya. Gehre nile pani se bane is kamre mein barf se bane kursi aur mej rakhe hue the. Charo taraf dhund jaisa dhuan tha.
Guptaji darte darte baraf wali
kursi pe beth gaye. Wo bhagne ka soch bhi nahi rahe the, kyun ki wo jante hi
nahi the ki wo kaha hai , bhagenge kaha se aur kidhar .”. “ dekhiye guptaji aap
to jaante hei paani ke tin rup hote hai ,, thos drab aur gas. To apka inn tin
rupo mein illaj kiya jayega. Magar usse pehle mein aapka ek mano baigyanik
parikhya lunga ye jan ne ke liy ki aap nahane se katrate kyun hai.”.doctor
jalasaya ko jawab dene ke alawa koi chara nahi tha guptaji ke paas. “ dekhiye ,
mein katrata nahi hu nahane se , srdi kitni pad rahi hai aur garmi mein to mein
do do baar nahata hu. Agar sard mein na bhi nahau to hisab to barabar ho jata
hai naa.”, Gupta ji ne kaha. Ye sunkar dr. jalasaya krodhit ho gaye. Wo gusse
mein kehne lage, “gupta ji kya aap pure din ka paani ek hi baar mein pii lete
hai?”. “ nahi mein koi untt thodi hu, upar wale ne mujhe insaan banaya hai.”,
guptaji bhi behes ke mood mein aa gaye. “aur mein yehi aapko samjhana chahta hu
ki , guptaji aap insaan hai , isiliye insaan ki tarah bartaw kariye aur roj
nahaya kijiye.” . “ are na nahake mein desh kaa paani bhi to bacha raha hu.” ,
gupta ji ne jawab diya. “ apne alas aur gandi aadat ko desh pe mat daliye
gupaji” , dr. jalasaya ka gussa badh gaya tha. Dr. jalasaya ne haath mein barf
ka kale rang ka pen pakada hua tha, mej mein kagaj ke aakar ka barf ke kagaj
the , jinme kuchh likh rahe the. “ guptaji ab aap sirf haan ya naa mein jawab dijiyega”,
dr. jalasaya ne kaha, “kyaa ap nahane ki paani se darte hai?”. “sirf sardiya
mein.” . “haan ya naa?” . “aa… haan”, guptaji ne kaha. “kya apko apni patni pe gussa ata hai kyun ki
wo aapko nahane ke liye kehti hai?” “dekhiye dr. jalasay aapbhi agar sadisuda
hai toh samajh sakte hai.” . “ haan ya naa?” ,
dr. jalasaya ne tokte hue kaha. “haan..”, guptaji ne kaha. Dr. jalasaya
ne kuch der ganana ki aur gupta ji ko dekh ke kaha , “aap fail ho gaye ho gupta
ji. Ab to aap gaye basss…
To kya hoga age gupta ji ke saath jan ne ke liye padhiye
iska akhir bhag
( Plz must be comments for next new article👌👌🙌
Nice bro 👌
ReplyDeleteThanks bro for comments
Delete😊🤜🤛🤝👏👏👍👍
ReplyDeleteThanks bro for comments
DeleteThis is really best article. Best comedy story
ReplyDeleteThanks bro for comments
DeleteNyc
ReplyDeleteThanks bro for comments
DeleteNYC story 😍
ReplyDeleteThanks bro for comments
Deleteawesome story
ReplyDeleteThanks bro for comments
DeleteThis really nice Story and best suspension story 👌👌👌
ReplyDeleteI thought I would leave my first comment. I don’t know what to say except that I have. digital business cards
ReplyDelete