mystery of world

RAMPUR KA TANSEN; A MOTIVATIONAL COMEDY STORY

 RAMPUR KA TANSEN

PART 2

Agle din papu apne gali ke nukkad ke sharma mistharn bhandar ke samne bench pe akele bethke chai pii raha tha, tabhi uski doston ki toli wahan pahanch gayi. “are papu bhaiya, hum kaha kaha dhund rahe hai, aur app yahan beth ke chai pii rahe hai, aaj sur sadhna ke liye , tabele pe nahi gaye”. Papu ne unn logo ki baato ka koi jawab nahi diya. Dablu samajh gaya . ussne kaha, “ kya baat hai papu bhaiya , mood thik nahi hai kya , aree hota hei kabhi kabhi , piatji hai jaane dijiye na.” papu fir bhi kuch nahi bolla . dablu firse prayas kiya. “Are apko to pitaji hi khali daat te hai, mummy to apko full support karti hai naa. Ii pintu ko dekhiye, jab jab ye ghar mein bolta hai ye cinema mein hero banega tab tab iski mummy papa dono milke isko latiyate hai, fir bhi dekhiye kaise dant khol ke has raha hai. Papu ne pintu ki aur dekha , pintu sahi mein dant nikur kar muskura raha tha. Pintu ko dekh ke papu ke chehre pe hasi aa gayi. Papu ko haste dekh ke sabhi log hasne lage. Tabhi kisine kaha, “ papu bhaiya bahat bhuk lagi hai, kuchh khilayiye na. han bhaiya kuchh khilayiye naa. Papu ne sabko bethne ke liye kaha aur sharma mistharn bhandar se sabke liye ek garma garam kachodi mangbali. Kachodi kha te hue dablu bola, bhaiya aap to kal program ke bich mein hi chale gaye , lekin hum logo ne program ko bich mein band hone nai diya. Uu angrezi mein kehte hai naa, ‘show must go on’ , kal apke jane ke baad mantu aapke jagah pe gata raha.


 Mantu bata re koun koun sa gaana gaya. Mantu  apni kachodi side mein rakhte hue bola , uuu wala, hum tumhe chahte hai aise.. , fir uu wala , aaa. Dhak dhak karne laga…. , fir uu wala , kabutar jaa jaa kabutar jaa jaa …” mantu age kuch aur gaata isse pehle hi papu ne gusse mein garaj ke kaha, “mantu! hum kuch bhi seh sakte hai lekin kalaa ke saath beimani kabhi nahi .” sabhi ek dusre ke chehra dekhne lage . papu ka iss gusse ka karan kisiko samajh nahi aa raha tha. Papu ne kaha , “  kabutar jaa mein jaa jaa jaa.. 3 baar hai fir tum do baar jaa jaa bol ke mukhda kahe kharab kar raha hai.” Papu ke ankhon mein gussa dekh ke mantu sak paka gaya, “ maaf kar dijiye bhaiya , age se aisa hum kabhi nahi karenge. Ab se hum kabutar jaa jaa jaa hi gayenge.” Papu abhi bhi gusse mein kamp raha tha.tabhi dablu baat ko sambhalte hue bola are jaane dijiye na papu bhaiya , bacha hai, galti ho gayi.” Fir mantu ki aur dekh ke bola, “ age se jaa jaa main se ek bhi jaa kam gaya naa to jaa se tumhari jaan nikal denge.” Mantu dar se dubak kar thoda pichhe ho liya. Tabhi babban uske kan mein fus fusaya, “ achha kiya, tune papu bhaiya ko ye nahi bataya ki kal raat tune 'ole ole' wala gaana bhi gaya tha.” Maahol ab firse saant hone laga tha .firse sabbhi log kachodi ke maje le rahe the ki tabhi dablu khusi se uchhal pada , “are papu bhaiya! Ii dekhiye kaa chhapa hai akhbaar mein .” sbhi dablu ki aur dekhne lage. “ desh ko talaas hai agle singing star ki , agar aap mein chhupa hai wo star to der kis baat ki, audition kolkata mein , agle rabibar ko.” Ye khabar sunte hi sabhi uchhalne lage,  “papu bhaiya singing star , papu bhaiya singingg star, papu bhaiya singing star”


“papu bhaiya singing star , papu bhaiya singing star” ke naare se wahan kaa maahol gunj ne lagaa. Papu bhi gad gad ho ke sharma mistharn bhandar se mithhai leke sabhi doston ka muh mithha karne laga. Itna sor gul dekh ke bagal se gujarte gaon waalon ne utsukta mein puchha, “ kaa hai bhaiya koi election jit gaya kaa.” Papu ke ek dost ne kaha, “are nahi chachaa, le aap bhi muh mitha kijiye naa , ii lijiye laduu , ii hamare papu bhaiya hai naa , gaane ke competition mein bhaag lene kolkata jaa rahe hai.” Itna sunte hi wo gaon wala haste hue kaha , “bhaag lene jaa rahe hai, itna khusi dekh ke laga ki jitee gaye hai.” Uss admi ki baat se dablu chidhh gaya, “ aree kamaal karte hai aap bhi , free mein mithha khaa ke bhi itna kadbah bolte hai. Are hamare papu bhaiya bhi kya haare hai kabhi.” Uss admi ke wahan se jaate hi Dablu ne papu se kaha, “are bhaiya aap jii chhota mat kijiye . ii sab ko kya pataa aapke baare mein .” papu ne kaha hum jii chhota nahi kar rahe hai dablu , hum to aage ki soch rahe hai “, papu apne thhudi khujate hue bola. Dekho india ka singing star to hum hi hai isme koi sak nahi hai, lekin fir bhi hum ko thoda style mein rehna chahiye na , mera matlab tv pe itne saare log dekhenge humko , kitni ladkiya jaan denge hum pe , matlab samajh rahe ho naa .” “haan haan bhaiya bilkul samajh rahe hai”, dablu ne kaha, “ aap bilkul bhi tension mat lijiye naa , aapka style hum bilkul bhayankar kardenge ki dekhne wala dekhta reh jayega .” tabhi pintu ne kaha, “ papu bhaiya aap na sar ke dono side ke baal mundwa dijiye, naya style hai .” babban ne kaha, “ aap na bada sa hat laga dijiye.” Mantu ne kaha , “ kaan chhiduwa lijiye “ kisine kaha , “ are nahi nahi bhawen”. Sabhi apne apne hisaab se papu ko hero banane mein lage hue the.


 Achha papu bhi gaur se sabke sujhab sun raha tha. Dekhte hi dekhte papuu ke singing star ban ne ke liye kolkata jaane ka din bhi aa gaya . uss din subha se hi papu ki mummy papu ke safar mein khane ke pura pakwaan banane mein lagi hui thi. Piataji kai dafe bade seher mein sambhal ke chalne ki nasihat de chuke the . saam ko papu train pakadne ko station pahuncha to papu ko chhodne usske saare dost station aye the. Station se jab train khuli to station mein khade papu ke sare dost  papu ke liye naare lagane lage , “ oye jitega bhai jitegaa , papu bhaiya jitega.” Aur dekhte hi dekhte papu ki train platform se nikal gayi. Agli subhe laal rangg ke lether jacket aur hat pehne , kaalaa chasma lagaye , sar ke dono side se baal mundbake, kaan aur bhanwe mein baali pehnke papu audition dene ke liye haworah bridge ke upar pedal chalta jaa raha tha. papu ko dekh ke kai saare taxi wale usse puchh rahe the , “ o dada! Kotha  jawe?” par papu iin saare taxi walon ko najarandaz karke aage badhta jaa raha tha. Papu ko uske doston ne kaha jo tha, “ bade sehro mein taxi wale lut lete hai”. Kher kafi der pedal chalne baad aur kai logo se puchhne ke baad papu akhir kaar audition bali jagah pahanch gaya. Lekin jab tak papu wahan pahancha tab tak kaafi lambi line lag chuki thi. Uski aur uski sapno ke bich mein duri thoda sa badh gayi thi.


kya hamare papu bhaiya apne sapne pur kar sakenge. ye jan ne ke liye padhiye agli bhag hamare blog mein

part-3:: click the link

WRITTEN BY 

SOUMYA

PUBLISHED BY 

ASHUTOSH

Follow on::
 Follow on Twitter , telegram and join whatsapp

Some important article 👌👌👌::: story best


( Plz must be comments for next new article👌👌🙌

12 comments: