mystery of world

RAMPUR KA TANSEN PART-1👌👌

 

RAMPUR KA TANSEN

PART 1

Saam ke yahi kuch sadhe 7 baje honge , bijli gul hone se andhere mein dube Rampur gaon men bilkul sannata chhaya hua tha. Lekin petromax ki rosni mein Papu aur uski dosto ki toli gaonn ki mandir se sati bade se bargad ke ped ke niche bane chabutar par jama ho chuke the.  “mic testing … hallo hallo…. One two three…,  haan haan thik hai., papu bhaiya lijiye mic chalu ho gaya”. Chalu ho gaya , haan to program suru karte hai. .. ek minute ee… Dablu tum hamara introductionn to kia hi nahi, ab hum apni muh se apni tarrif kare ye achha lagta hai kya!”. “Are ek dam se bhul gaye papu bhaiya. Mic humko dijiye abhi kar dete hai.” “ hallo! rampur ke gaon basiyo aap sab apne ghare mein sun rahe honge humko , dekhiye har roj saam ko bati chali jati hai fir machhar marne ke alawa aur kuch karne ko nahi hota so aaj se har roj saam ko aap logo ke manoranjan  ke liye hamare papu bhaiya .. ji haan  hamare apne gaon ke iklote gayak sriman papu kumar apne special awaj mein ranga rang gaana bajane ki karyakram mufat mein pes kiya karenge. (tali bajne ki awaj ) bhaiya itna thik hai ki aur bhi kuch bolu hee.. .”dablu puchha to papu mic apne hath mein lete hue bola, “nahi nahi thik hai bahut badhia baki hum bol lenge naa.”. halo !hum Papu bol rahe hai, pehchane, han to program 5 minute mein suru kar rahe hai, jisko bhi humko gaate hue dekhne ka bahut man kar raha ho wo ajaye, hum bura nahi manenge. “. Papu ne ustah ke saath itna keh ke mic stand pe rakha aur fir dablu se kaha , “ ee.. dablu sara samosa bant mat dena , bahut log ane bale hai.” Thik hai bhaiya”, dablu doston ke bich samosa bante hue bola, ghabrayiye nahi bhaiya abhi bahat samosa bacha hai”. “Ee.. lagta hai koi aa raha hai”, papu ne khusi se kaha.

 Petrmax ki rosni mein sabhine dekha , jo saks aya tha, wo bhola tha, papu bhaiya ke ghar ka naukar. Bhola ne ate hi kaha, “bhaiya ji apke pitaji bahut gussa ho rahe hai, abhi ke abhi bula rahe hai.” Bhola ki bate sun kar papu chidh gaya aur bhul gaya ki mic uske bagal mein hi hai, to papu ki awaj pure gaon mein gunjne lagi, “ee pitaji ko gussa karne ke alawa koii kaam nahi ata kya, bol do jake abhi nahi ayenge hum.” Papu ne itna kaha hi tha ki gaon ki ek ghar ki khidki khuli aur fir wahan se awaj ayi, “pappu….” ( gusse wali awaj). Ye papu ki pitaji ki awaj thii.  “ tum abhi ke abhi ghar ate ho ke hum aye wahan pee… (gusse mein).  Apne pitaji ke awaj sunkar papu sakpaka utha. Pi..taa..ji ye galat baat hai, aap khana kha ke so jayiye na, hum ghar aa rahe he naa program khatam karke” . achha hum kha ke so jaye, subah ko jo tum ko bhenso ka chara lane ke liye paisa diya tha wo kahan hai. Aur ye bhopu kahan se laye tum.” Paise ki baat ate hi papu ghabrane laga. Idhar yahan par moujud papu ke saare dost mahol bigadte dekh ke jaldi jaldi samosa khane lag gaye. Thik hai pitaji aa rahe hum.. aa..p ap sant ho jayiye na.”  papu ke jate hi dablu mic leke bola, “ gaon walo karyakram thodi der ke liye sthagit kiya gaya hai. Tab tak aap log bhi khana bana khaa lijiye, rukaa bat ke liye khed hai.

Pappu ko achhe se pata tha ki aaj to use uske pitaji nahi chhodne wale, agar aaj usko koi bacha sakta tha to wo thi uski mummy. So papu ghar pahanch te hi mummy ke paas jaa ke ek chhote se bachhe ke tarah rone laga, “ ee.. mummy dekhiye na , hum kuch nahi kiye hai.” Achha mummiyon ke dil ke baare mein to aap log jante hi hai, so wo bhi  apne bachhe ko bachane maidaan mein aagayi, “aare jaane dijiye na , apko to bas mauka chahiye , pataa nahi kya paresaani hai apko hamari bete se”. “paresaani” papu ke pitaji ne kaha , “are paresaani sirf mujhko ho to chalo fir bhi thik hai , pure gaon ko paresaan karke rakha hai tumhare nalayak bate ne”. iss pe papu ke mummy ne kaha, “aree aap bhi naa, gaon balo ke baaton mein aa jate hai, aare jalte hai sab humare papu ke hunar se , are mein puchti hu gaana gana koi gunaha hai kya?” . “ nahi “ papu ke pitaaji ne kaha, “ gunaha nahi hai, par besura gaana , aur din bhar galaa faad faad ke gaana gunah hai. Aur upar se aaj bhopu bhi le aya ye. Paisa kahan se mila re tumko, bhopu lane ka? Han? “ papu ke pitaji  ne papu kaa kaan pakad kar bole, “ subah bhaison ka chaaraa laane ke liye paisa diye the , usse tu bhopu kharid laya.” Ghar ka naukar bhola jo ab tak bagal mein khade ho kar chup chap maje le raha tha usne bola, “ maalik bhaiya ji bhi waha par samosa bhi bantbaye the. Iii. Dekhiye..” bhola sabut ki taur par wahan se ek samosa utha laya tha. “Chup kar” papu ki maa ne bhola ko jhhep diya , “jaa jake daal mein chhoka laga” .


 fir apne papu ke pitaji se bole , “ are kamal karte hai aap, saadi ke umar layak bete ko haath uthayiega”  “saadi”, papu ke pitaji ne kaha, “ are koun karega iss nithhalle se saadi” . “ are aisa kahe bol rahe ho “ , papu ke maa ne kaha, “ kitna kaam to karta hai beta hamara.” . “Kaam, are ye na kaam ka , na kaaj ka ye sirf dusman anaj ka. Bolta hu tabele mein jaa kar doodh budh nikalna sikho age kaam ayega, par apaka ladla tabele jaa ke sa re  ga  ma.. sa re ga ma .. kar raha tha.

Are iska gaana sunke bhens bhi dudh dena band kar dete hai”. Papu se raha nahi gaya, ab usne kaha , “ aap hamari pitaji hai isiliye hamari bejatti kijiye chalega lekin aap hamare kalaa ki bejatti mat kijiye, are aapki bhenso ko kya pataa raag bhairabi kisko kehte hai. Kitna niche se sur lagana padta hai.” “beta sur ke saath saath tum bhi chale jayoge niche”, papu ke pitaji ne bich mein hi kaha. “Ejii.. ii sab aap kya keh rahe hai,  aap bhi naa , bachhe ke saath ek dam bachhe bante jaa rahe hai.” Papu ki maa papu ko santyona dete hui boli, “chal beta khana khaa le, mein sunnungi tera gaana.” Papu apne mummy ke saath rasoi mein jate jate apne pitaji se bola, “ pitaji dekh lijiyega ek din aapke bhenso ke tabele mein beth ke gaana gayenge, aur aapke bhenso ke saath saath puri duniya sunegi, ii wada hai apne aap se.”

To kyaa papu bhaiya ka sapna pura hoga , ye jan ne ke liye padhiye agla bhag sirf hamare blog par.

part-2 :: click the link here

part-3 :: click the link here

Follow on::
 Follow on Twitter , telegram and join whatsapp

Some important article 👌👌👌::: story best

WRITTEN BY

SOUMYA

PUBLISHED BY

ASHUTOSH

12 comments: