mystery of world

DETECTIVE ARJUN PART-2

 DETECTIVE ARJUN

JUNGLE KE RAAZ-2

Detective arjun aur anil iss jungle ki raaz samjhne ke liye jaysalmer aa hi gaye.lagbhag saam 5 baje jab arjun aur anil jab uss jungle ke paas pahunche uss jungle ko dekh mano dang reh gaye. Bahar se dekhne par to ye jungle darawana lagata hi nahi, balki itna khubsurat drusya to meine kabhi dekha hi nahi, hare bhare ped aneko ful paksiyon ki madhur charcharahat, bhala isska kya rahasya hoga., anil ne kaha. Tabhi punit bhi wahan pahanch gaya. Detective bahar se jungle ko bhapna bahat muskil hai.kehte hai ye jungle aisa nahi , jaisa bahar se hai, punit ne kaha. Matlab detective arjun ne puchha. Matlab ki ye jungle andar bulkul ulta hai, aur utna hi darawana jitna ye lubhana dikhta hai. Kya aap mera kaha saaman laye hai., arjun ne punit se puchha. Jii.. haan.. , yeh raha wo injection , ye khas pattia ye helmate aur … haan ye chasma, punit ne detective arjun ko yeh saaman dete hue kaha. Detective arjun jungle aur badhhe hi the ki unhe  wahan wo board dikha jaha likha tha , yaahan koi nahi aata, laut jaao. Abhhi anil aur punit kuchh bol pate detective arjun unke ankho se ojhhal ho jungle meinn jaaa chuke the.



 Abhi detective ajun andar aye hi the ki andar ka drusya dekh unki ankhe fati ki fati reh gayi. Andar se pura jungle mano eek safed dhuen ki chadar meinn dhaka hua tha aur ghane sannate se ye jungle itna darawaana lag raha tha ki kisiko bbhi andar tak bhay bhit kar sakta hhai. Kuchh samaya chalne ke baad achanak arjunn ke paon ruk gaye unke saamne ek aadmi madad ki guhar laga raha tha jiska sirf adhha sarir hi dikh raha tha aur baaki… baaki ped ke tano ke andar tha. Arjun yakin hi nahi kar paa rahe the bhala aise kaise ho sakta hai. Wo abhi uss  byakti tak pahanch pate wo byakti jor jor se hasne laga. Heen heeen ….. …. … .arjun apne ankh ko thap thapate hue phir se uss aur dekha, par wahan koi nahi tha balki ek ajib si jhopdi dikhi jisme se rosni aa rahi thi. Detctive arjunn turant uss jhopdi mein chale gaye. Andar se ye jhopdi tuti futi dikh rahi thi. Niche bahat saare kagaj pade hue the saamne deewar par ek chart sa dikh raha tha.



 Ye… ye wohi chart he jo meine wo satir  killer ko pakadne ke iye kai mahine pehle banayi thi. Tabhi uss jhopdi ke saare saman idhar udhar girne lage mano unhe koi jaan buchh kar fek raha ho. Arjun kuch samajh pate unke saamne wo saatir killer khada tha. Usko wo bahat pehle pakad chuke the par uska chehrasafed ho chuka  tha. Aur usski pilli ankho se ek ajib sa kala dhuan nikal raha tha. Arjun girte padte jhopdi se bahar bahar aye to mano sab kuch khatm ho chuka tha. uhe saamne kai saare gadhhe khude hue dikhe jinse ajib se awaj aa rahi thi mano wo detective arjun ko bula rahe the. Arjun ne apne dono kan hathon mein band kar liye aur ek kone mein beth gaye. Udhar anil aur punit chinta meinn dube hue the, akhir detective arjunn ko anadr gaye pure 24 ghante ho chuke the. Bahat intezar ke baad jab anil madad ke liye mude hi the ki achanak arjun ko jaungle se bahar ate dekha. Anil kuch keh pata detective arjun jor jor se chillane lage mujhe uss serial killer ko pakadna hi hoga, wo aur logo ki hatya karne laga, aisa kehte kehte detective arjun behos ho gaye.



lag bhag 4 ghante baad jab arjun ko hos aya to anil ne darte hue puchha tum thik to ho. Thodi der anil ko dekhte hue jab detective arjun ne anil ko kaha wo jungle bilkul thik nahi hai. To haste hue anil ne kaha thanks god mujhe laga tum kahoge mujhe uss killer ko pakdna hai matlab arjun ne puchha. Matlab kii ye jab tum jungle mein se bahar aye to baarr baar yahi dohra rahe the akhir jungle meinn aisa kya hai, punit ne puchha .arjun nekaha,  ane se pehle meine thodi chhan bhin ki to pata chala ki yahan ek badi khoj karta ki team research kar rahi thi, jinme iron ore ki behad istemaal hota tha aur wahan aye din bisfot hua karte the jiski wajah se jaane kitne log research ke hadso kaa sikar hue the, aur dhire dhire yahan ki jamin aur batabarn mein badlab ane laga aur yahan strong electromagnetic field ban gayi aur wohi karan hai jiski wajah se log jab iss jungle meinn aate he to iss electromagnetic field aur batabaran ki wajah se unhe illusion aur bhram ho jata hai aur unka dimag unhe wohi dikhata hai jisse wo darte hai ya fir jiske baare mein wo jyada der sochte hai. Matlab anil ne puchha.



 Matlab jaise amit ek scientist the wo mrutyu ke baad ke jindegi ke baare mein sodh kar arhe the. Isiliye unhe ye dikhyi di ki unka sarir se unki atma nikal gayi hai. Aur khud ko atma samjh baithe aur khdiki boddy ko dhundne lage the. Aur wo sudip ek runner tha , kuch din pehle uski ek chhoti si accident hui thi , toh per kuchh chote ayi , jiske baare mein wo kafi careful tha. Aur isiliye usse lag raha tha ki usska per sayad nahi hai. Par tum par ye asar kyun nahi kiya anil ne kaha. Arjun ne haskar kaha, wo injection mujhe permanent hallusination se bacha raha tha, aur wo helmet mein ek foam ka coating laga tha jo ki meir brain mein changes lane se protection kar kar raha tha, aur wo infra red ki glasses mujhe andhere mein dekhne ke liye the. Aur wo pattia jo tum jo tum per par lagaye the isska kya karan tha? Arjun ne haskar kaha ki meine gaon walo se suna tha ki per ko mat dekhna issiliye le gaya tha. Par ye unka afbaha nikla par safty ke liye mein le gaya tha. Par goan wale kehte hai ki jungle mein bhut hai. Arjun ne kaha mein ye to nahi keh sakta par han uss jangle meine ek ajib si energy ko mehsus kiya jo iss dunia sse bahat pare hai.

Follow on::
 Follow on Twitter , telegram and join whatsapp

Some important article 👌👌👌:::

Plz comments must

WRITTEN BY

SOUMYA

PUBLISHED BY

ASHUTOSH

8 comments: