mystery of world

narkyatra: govt system of india

 

NARKYATRA

Part 2

part-1 click the link here::http://sportsashu.blogspot.com/2020/09/funny-story-about-our-govt-office-system.html

gudu khade the ek badi puran building ke samne jiska rang ud chuka tha aur usse dekhkar guda ka bhi rang uud chuka tha. Upar ek bada board laga hua tha jisme likha tha yamlok. Akhir kar wo yamlok pahanch gaye the. Usne dekha samne ek jagah par kuch atma ek log ko ghere hue khade the. Wahan pahancha to pata laga ki yahan andar jaaane ke liye permit kat ta he.aur yahan ye dekha jata hai ki jo body aur hardware de kar log dharti pe bheje gaye the wese hi log upar aye hai ya issme kuchh defect hai.  Aur mishra babu iska morcha sambhale hue the. Actually mishra babu ko yahan issiliye rakha gaya tha ki yo atamyon ko anadar bharti karayega par wo atmako bharti hone se tab tak rokte he jab tak unke pocket koi garam na karde.

 Yahan mishra ji hume dharti wo baat yaad dilate hai ki, “upar koi kuch nahi leke ja pata hai”. Gudu ji bhid ko kat te hue mishra ji ke paas pahanche aur kaha, “sir thoda kat lete, hamara permit.” Pehele mishra ji ne gudu ki sakal dekhi aur muskurake bole, ‘aise sir mat kaho bura lagta hai.., sarkar kaho, sarkar!(gusse mein). Gudu bhai thode sarma gaye aur bole, “thoda bharti karawa dijiye .. sarkar..” . par mishra babu to apne whatsapp chat mein lage hue the. Gudu ki taraf dekha tak nahi. Tabhi pichhe se kisine kaha ki are kuch deke jaldi rafa dafa karo message ka kya hai, yo ate hi rahenge.” . to gudu ne bina samay gabaye ek 500 ka note taraf badhaya. Toh mishra ji ne puchhha , “ye kya hai?” . “bachho ke mithai ke liye , sarkar”, gudu ne kaha. “Humme riswat de rahe ho”, gusse me mishra ji ne kaha aur ek form uthakra usse bharne lage. Par wo 500 ka note wo hi table pe najayas pada hua tha. Tabhi bhid me kisine phir se kaha “rakhlijiye sarkar bachhe ka dil dukhega”. To charo taraf najar gadaye mishra ji ne wo paisa apne jeb mein kar liya aur gudu ko permit thamadi.

Gudu bhid mein se nikal kar bahar aya. Wo dekhaa ki usse ek admi ghur kar khada tha. To ussne usse puchha “kya hua?”. To ussne kaha, “ tum itne jaldi upar kaise aye?”. “Matlab?”, gudu ne kaha. “Tamhara indicator abhi bhi green hai”, admi ne kaha. Gudu ne dekha ki usske kan ke niche wala hisse mein green light jal rahi thi. Actually marne ke baad ye indicator light ko red ho jaana chahiye tha jo ki dharti par nahi dikhta hai. Gudu ko dar lagne laga. Ussne socha ki wo mara nahi he. Kisi galti ke tahat yahan jaldi laya gaya hai. To ussne uss admi se puchha “ab age kya?”. “Age kya, ab department pe jake ek complain karo aur turant dharti par lout jao” uss admi ne kaha. Uss admi ne ek comlain receive karne wale daptar ke age usse chhod diya. Gudu ne dekha ki ek lambi katar lagi he. To ussne ek peon ko bulakar usse 500 ka nota thamadiya to sidhha line ke age pahancha diya gya.

 Wahan ek naya ladka betha tha. Gudu ne saari baat usse kahi. To wo aisa mamla pehle nahi suna tha . isiliye ussne aone senior ko wahan bulaya. Senior the panda babu. Unhone bhi mamle ki gambhirta samjh chuke the ki gudu namak prani age jakar badi muskil paida kar sakta hai. To panda babu ne gudu ki file padhi aur usse kaha, “dekho tumhari pap ki percentage aur punya ki same to same hai. Rarest of rare case hai ye. Tum aisa karo ki kuchh din nark gujarlo , to tumhara pap ka point kam ho jayega, aur baki punya ke liye hum tumhe dharti pe bhej denge”. Gudu ne kaha , “ galti ti mera nahi hai, apki office ke log ne gadbad karke mujhe upar laye hai. To main kyun nark jau.” Gudu ki baat mein dam to tha. Panda babu ne akhe bade karke kaha, “hum to tumhari bhallai ki hi baat kar rahe the. Tumhara paas ek option he ki tum court pe complain karo, wese bhi tum jante ho ki kacheri ke mamle mein kitne kharche ate hain , aur faisla kab tak ayega iska guarantee nahi hai. Aur jab tak tumhara case katam hoga , tab tak tumhari body thik thak rahegi issika bbhi koi guarantee nahi . aur hum agar tumhe aise  hi narak bhej de to kya kar loge tum”. Gudu ne socha ki, sachme kya kar lega wo , dharti ki naukar sahi mein se kuch kam nahi tha ye yamlok. Panda babu ne kaha ki dekho tumhara bhalai issime he ki hamri baat manlo, tab tak tumhari body ke mehefooz rakhne ki kam hamari"

. Gudu ko patachal gaya tha ki ab usse narak jana tha. Gudu ye soch kar dar raha tha ki patanahi koun si aisi paap kar li thi ussne ki aj ye din dekhna pad raha he usse. Gudu ne apni kadam badha di narak yatra par.

Kahani ka akhir bhag agle bhag par ayega. Issiliye bane rahiye hamare sath sirf short stories and amazing facts par.

WRITTEN BY

SOUMYA

PUBLISHED BY

ASHUTOSH

Catagories::Best comedy suspension story

Tags::comedy story,story of suspension,best comedy story,best comedy news, comedy

Follow on Twitter and telegram and whatsapp group

Plz comments 👌👌✌️✌️

17 comments:

  1. Nice article 💯💯💯💯💯🥳🥳🥳🤩🤩🤩

    ReplyDelete
  2. Osm story bro ❣️ keep it up

    ReplyDelete
  3. It's too good ��������

    ReplyDelete
  4. Nice story.. Keep it up. All the best for your upcoming stories as well as your carrier.

    ReplyDelete
  5. Story is awesome, release the third part soon

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you and next part will publish soon

      Delete
  6. Best suspension comedy story bro .plz reply.the next part kab argha???

    ReplyDelete