mystery of world

RAMPUR KA TANSEN: A MOTIVATIONAL STORY

 RAMPUR KA TANSEN 

PART 3


Audition dene aye itne sari log aur itni lambi line dekh kar papu heraan reh gaya. Wo man hi man bola, “ my god! Batayiye itne sare logo ko ek saath galat fehmi he ki ye singing star banenge , hee… ye dekho aa gayaa asli singing star .” line main khade hoke ussne kai contestant se kaha bhi , “ ee bhaiya jao bhai jao , dhupo mein kahe jaan de rahe ho. Agle saal try karo na , ii saal koi chance nahi hai.” Aidtion ke liye papu ka jab tak number aya , tab tak raat ho chuki thi. Subha se audition le leke tino judge thak chuke the , lekin style mein hat lagaaye papu ko andar ate dekh ke unn tino judgon ko laga ki , iss bande kuchh to baat hai. Idhar tino judge film jagat ki badi badi hastiyan thi, ek music director dusra gayak aur tisri thi pichhle dasak ki mashur film actress ‘lalita’. Unme se judge ne kaha, “han to apna parichaya dijiye.” “namaskaar , hamara  naam papu kumar hai, aur hum ram pur se aye hai.” “ achha kuchh sunaiye na papu kumar.” , judge ne kaha. Papu ne apna galaa saaf kiya fir bola , “ thoda pani pile , uu subhe se line mein bhuke pyase khade hai na galaa sukh gaya hai , pet mein gas bhi ho raha hai .”


 "haan haan , bilkul” , lalita ji ne kaha , “ ii lijiye biscuit bhi kha lijiye.” Pani pike papu ne kaha, “dhanyabaad madam , madam hum na bachpan mein school se bhag ke apke picture dekhne jaate the, pitaaji ko pata chata tha na to danda se marte the. Apki wo bali film nahi thi jisme aap gundo se bachne ke liye nadi mein chhalanga laga di thi , wo film hum 8 baar cinema hall mein jaake dekhe hai.” Tabhi ek judge ne papu ko rokte hue kaha, “ thik hai thik hai , ab aap gayiye bhi naa.” “jii haan , kya suniega , aa.. filmy, classical ya fir humara khud ka kuchh pes karu.” “oho , to aap gaane bhi compose karte hai” , judge ne heraani se puchha. “ lijiye apne gaon meinn har ros saam ko hamara ek gaane ka show bhi chalate hai, superhit . hum mic pe gaate hai , gaon wale sunte hai.” Achha ! “, judge ne kaha, “to apna hi kuch likha hua suna dijiye na”. “ haan haan , bas ek minute”, papu ne camera ki aur dekha aur fir kaha, “ ii camera chal raha hai na, hee.. mummy pranaam, dekhiye apke asirbaad se pahunch hi gaye hum, pitaaji humko dekh rahe tv pe ki doodh nikalne gaye hai. Achha dablu , tumhara naam bh le liya humne tv pe, aur rampur ke saare basiyon ko pranaam hai bhai.” Oh , hello , ab bas gaana bhi gaa do .”, judge ne chidhte hhue kaha. “ haan haan, bilkul, een.. ,music ..,, achha music nahi hai.., koi baat nahi , 1 2 3 , ubaala .. ubaala.. andaa , han han anda.`” Papu ne itna gaya hi tha ki tino judge ne thahaake maarke hasne lage . papu bhi muskurane laga. “ pasand aya naa , humko pataa thaa.” Judge ne hasi rokte hue kaha, “ aree bahat pasand aya, itna poustik gaana to humne aaj tak nahi suna humne, kya gaate hai aap bhai, aap to guru hai, rampur ke tansen hai aapp, are aap to iss singing star se bahat upar wale chiz hai, aap ek kaam kijiye , gaon jayiye aur wahi rehke apna superhit show chalayiye, next..” papu ke select naa hone pe wo tilmila utha. “ sab ja;te hai humse , wo heroinwa ka picture to hum zindegi mein kabhi nah dekhenge ab.” Raat ko papu wapas rampur jaane wali train pe beth kar soch raha tha, “ ab gaon mein kaa muh dikhayenge sabko.”


Agle din jab papu ki train rampur station pe ake ruki to papu ko train ke darwaje par dekh ke platfom par khadi papu ki mummy khusi se uchhl padi aur boli, “ are bajao bajao bhai , aa gaya hamara beta “ . papu ki mummy ki itna kehte hi band wala baja bajane lag gaya. Band baaje ke saath apne mummy ko waha dekh ke papu abaak reh gaya. Tabhi usne dekha ki saath mein uske pitaaji bhi aye hue hai aur unke saath kai gaon wale bbhi . papu kuchh samjh pata usse pehle hi dablu aur uske dost papu ko apne kandhe pe uthha chuke the. Papu ke sare dost naare lagane lage, “ twinkle twinkle  little star , papu bhaiya singing star. Twinkle twinkle little star , papu bhaiya singing star.” Naare lagne se platform par aur bhid jamne lagi. Sabhi papu bhaiya ko ek baar dekh lena chahte the. Itni bbhid dekh ke ek aadmi ne puchha, “ee bhaiya , ii bhaiyaji koun hai.” Bhid mein kisine jawab diya , “ are aap inko nahi jante hai, are tv pe aye the.” Tabhi aur ek aadmi ne kaha, “ par tv pe sab inka majak nahi udaa rahe the!” are tv pe majak udna ka koi majak lagta hai aapko.”, sabhiko mithai bante hue papu ke ek dost ne bola , “aaj tak aapke pure khandaan mein kisika tv pe majaak uda hai?” “ nahi (mayus hoke), uss admi ne naa meinn sar hilaya. “ to fir chup chap ladoo khaiye aur hamare saath boliye, ‘papu bhaiya jindabaad, papu bhaiya jindabaad’”. Papu bhaiya ko station se gaon le jane ke liye phoolon mein saji ek khhuli jeep ki byabasta ki gayi thi. Papu kisi electionn mein jite hue neta ki tarah jeep pe sawar ho gaya aur jeep dhire dhire gaon ki aur badhne lagi. Papu ne dablu ji se puchha, “ ii to mukhiya chacha ki jeep hai naa”.. dablu haan mein sar hilate hue kaha, “haan bhaiya, mukhiya chacha ne aapke samman mein gaon mein ek ayojan rakha hai”. Thodi der baad papu gaon ki mukhiya ji ke saath manch par khada tha.


 Gaon ke mukhiya ji ne bolna suru kkiya, “ rampur ke basiye humko ye kehte hue badi kkhusi ho rahi hai, papu hamare gaon ka ladka hai, jjisne hamare rampur gaon ka naam pure desh pe rosan kiya hai, issiliye aaj issi khusi ke mauke par papu ko rampur ka tansen ki upaadhi deta hu, taaliya (taali bajne ki awaj)aur hum chahte he ki anewale dino mein bbhi papu jaise aur bhi bachhe hamare gaon ka naam aise hi rosan kare. Issiliye meinn papu ko rampur ke kalaa aur sanskruti ka adhyaks ghosit karta hu. Ab meinn papu ke pitaaji purusottam ji ko do sabd dene ke liye manch par amantrit karta hu. Papu ke pitaaji stage par aye aur bhabuk ho kar bole, “ bas mein sabhi mata pita se yahi kahunga ki jo galti meine kiya wo galti aap log naa kare, apne bachhe ko apne man kki karne se kabbhi mat rokiye, kya pata usme ek papu chhupa ho. Aaj meinn pure gaon ke samne ye kehta hu ki mein galat tha aur mein mera tabela ka ek hissa papu ko riaz karne ke liye deta hu.” Papu e pitaaji ki bate sun kar sabhi gaon bale nam ankho liye taaliya bajane lage. Ab iss baat ko saal bhar ho gaya hai. Papu ab be roktok apna show chalata hai , subha apne pitaaji ke diye hue tabele ke uss hisse mein gaon ke kuchh bachhon ko sastriya sangeet bhi sikhata hai. Ab bachhe papu ko papu bhaiya nahi, guruji keh ke pukarte hai. Aur papu kehta hai, “ aise nahi , thoda aur niche se sur lagao.”


Bas itni si thi ye kahani.

Follow on::
 Follow on Twitter , telegram and join whatsapp

Some important article 👌👌👌::: story best




( Plz must be comments for next new article👌👌🙌

WRITTEN BY

SOUMYA

PUBLISHED BY

ASHUTOSH

4 comments: